Meri baat maan lo.....ek hasya kavita

Kabr pe behatasha rote hue shakhs se humne poochhaa,
kis ki yaad mein ro rahe ho is bekadar?

jaroor koi tumahaara aziz ya dile-jigar raha hoga,
ya phir marhoom bibi ka ghum tumhe khaa raha hoga

shakhs bola, essi koi baat nahin hai,
wafaai aur zazbaat ki takraar nahin hai

hum ye baat sunkar chakraa gaye,
thode girre phir sambhalaa gaye

poochaa ,ye raaz humen bhee sunaayo
apni mashooka ka kissa to farmaaayo

bolaa,
ye meri bibi ke pehle pati ki kabr hai,
kon thaa,nahin mujhe iski koi khabr hai

zindaa hota aaj 'vo',to mein aazad hota,
na meraa husn-e-mahal is kadr barbaad hota

Al-Qaida ke kaidiyon se bhi buraa haal hai,
haath paer khulle par dil zakhmon se laal hai

ae mere hamdard aur saathiyon,kya tumhne ehsaas hai,
ke shaadi aur wafaai, is zamaane mein itihaas hai.

Jinki ho gai , vo pachhta rahen hain,
Jinki nahin hui, vo chakkra rahe hain

third wife aur fourth husband ka zamaana hai
her kids,my kids and our kids kya anjaana hai?

Apne ko pehchaan lo ,'living together' ko jaan lo,
Laila Majnoo ko bhoolkar , meri baat maan lo.

No comments: